• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aashiq-E-Zar Hun Juz Ishq Mujhe Kaam Nahin

Aashiq-E-Zar Hun Juz Ishq Mujhe Kaam Nahin

poet

ashiq-e-zar huun juz ishq mujhe kaam nahin

talib-e-kufr nahin tabe-e-islam nahin

gham nahin kuchh bhi kharabi se hai ham maston ko

gardish-e-jam hai ye gardish-e-ayyam nahin

qatl-e-ashiq ke liye ek ada bas hai tiri

bismil-e-ishq ko kuchh hajat-e-samsam nahin

kya hua abr bhi hai mai bhi hai saghar bhi hai

hai ye sab hech agar saqi-e-gulfam nahin

dekh kar mujh ko tujhe kyuun hai tahayyur naseh

mashrab-e-ishq hai ye mazhab-e-islam nahin

khana-e-naz hai vo balki charagh-e-murda

dil ke aine men gar ru-e-dil-aram nahin

ishq-e-khadim se hua hai dil-e-‘asim’ maamur

is liye din-o-duniya se use kaam nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Uske Samne Mera Ye Haal Aa Jae

aatish-indori

Ulfaton Ka Khuda Nahin Hun Main

poet

Shab Wasl Ki Bhi Chain Se Kyunkar Basar Karen

akhtar-shirani

Na Bhul Kar Bhi Tamanna-E-Rang-O-Bu Karte

Kya Hai Ki Aaj Chalte Ho Katra Ke Rah Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet