reg-e-ravan pe naqsh-e-kaf-e-pa na dekhna
a.ina-e-zamir men chehra na dekhna
be-sarfa hai lahu ki tamazat mire liye
asrar-e-jism-o-jan ko barhana na dekhna
jo ansuon ke la.al-o-javahar bikher de
us ek mauj-e-dard ko uThta na dekhna
raton ka chain din ka sukun ho agar aziiz
chalta hai saath saath jo saaya na dekhna
hai shab ki astin men gunahon ki raushni
zaḳhm-e-nazar se surat-e-zeba na dekhna
ham bhi fasil-e-shahr ke saa.e men aa ruke
va ho dar-e-murad to sahra na dekhna
ye ehtiyat-e-vaz-e-junun hi nahin magar
rah-e-vafa men apne ko begana dekhna
har shaḳh par jale hue lamhon ki raakh hai
fasl-e-bahar zaḳhm-e-tamanna na dekhna
Leave a Reply