mera vajud us ko gavara nahin raha
yuun rah-e-zindagi men sahara nahin raha
furqat men us ki sabr-o-tahammul tha ishq men
vo aa gaya to zabt ka yaara nahin raha
har lahza shauq-e-husn men ye be-qarar hai
ab mera dil ke saath guzara nahin raha
main iztirab-e-ishq men had se guzar gaya
aisa maraz baḌha hai ki chara nahin raha
mahfil se main uTha to ajab tabsira hua
kahne laga ki ab ye hamara nahin raha
har-chand be-ruḳhi men vo had se guzar gaya
kaise kahun ki vo mujhe pyara nahin raha
soz-e-nihan ki aag bhaḌakti hai is qadar
yuun lag raha hai ishq ka yaara nahin raha
main jal ke raakh ho gaya huun soz-e-ishq se
main zindagi men misl-e-sharara nahin raha
jab dard-e-dil nahin raha to yuun laga mujhe
goya ki zindagi ka sahara nahin raha
parvaz-e-fikr-e-nau nahin pahunchi jahan talak
aisa falak men koi sitara nahin raha
jab maut aa ga.i to na.i zindagi mili
ab bahr-e-zindagi ka kinara nahin raha
Leave a Reply