har maslak har maktab ishq nahin hota
sab logon ka maz.hab ishq nahin hota
jism jahan ho vo sab ishq nahin hota
ham se aisa be-Dhab ishq nahin hota
un ko mere bhige takiye dikhla do
jo ye kahte hain ab ishq nahin hota
hamdardi ko hamdardi samjha jaa.e
har jazbe ka matlab ishq nahin hota
sardi aur garmi ke uzr nahin chalte
mausam dekh ke sahab ishq nahin hota
Leave a Reply