• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mohabbat Dil Pe Karti Hai Asar Aahista Aahista

Mohabbat Dil Pe Karti Hai Asar Aahista Aahista

mohabbat dil pe karti hai asar ahista ahista

mariz-e-gham ko hoti hai ḳhabar ahista ahista

ḳhuda ab jaane kya anjam ho is sajda-rezi ka

ghisa jaata hai tera sang-e-dar ahista ahista

junun-e-ishq le aaya hai aḳhir dasht-e-ghurbat men

muqaddar ban ga.i gard-e-safar ahista ahista

kiya hai jumbish-e-lab ne mujhe behal kuchh aisa

main yuun to saans leta huun magar ahista ahista

ubhar aa.ega apne vasl ka ḳhurshid bhi ik din

magar hogi shab-e-gham muḳhtasar ahista ahista

bacha.un kis tarah kachche makan ko tez barish men

gire jaate hain sab divar-o-dar ahista ahista

nahin marta yakayak be-irada nazninon par

chhiḌakta huun main jaan un par magar ahista ahista

kisi ke duur rahne se mohabbat kam nahin hoti

magar barbad hota hai jigar ahista ahista

ghazab hai bazm men tera ye kaif-angez nazzara

hua jaata huun ḳhud se be-ḳhabar ahista ahista

mujhe karne laga hai ḳhanaman-barbad gham tera

vatan men ho gaya huun dar-ba-dar ahista ahista

umanD aa.i hai kyuun tarik shab atraf-e-alam par

kahan gum ho ga.e shams-o-qamar ahista ahista

‘muzaffar’ raaz poshida rahega kaise mahfil men

lahu Tapka rahi hai chashm-e-tar ahista ahista

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi

Mushtaq Ba-Dastur Zamana Hai Tumhaara

poet

Us but Ne Gulabi Jo uTha Munh Se Lagai

shah-naseer

Laga Jab Aks-E-Abru dekhne dildar Pani Mein

Mere Wajud Mein the Dur Tak Andhere Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet