• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aur To Pas Mere Hijr Mein Kya Rakkha Hai

Aur To Pas Mere Hijr Mein Kya Rakkha Hai

hasrat-mohani

aur to paas mire hijr men kya rakkha hai

ik tire dard ko pahlu men chhupa rakkha hai

dil se arbab-e-vafa ka hai bhulana mushkil

ham ne ye un ke taghaful ko suna rakkha hai

tum ne baal apne jo phulon men basa rakkhe hain

shauq ko aur bhi divana bana rakkha hai

sakht bedard hai tasir-e-mohabbat ki unhen

bistar-e-naz pe sote se jaga rakkha hai

aah vo yaad ki us yaad ko ho kar majbur

dil-e-mayus ne muddat se bhula rakkha hai

kya taammul hai mire qatl men ai bazu-e-yar

ek hi vaar men sar tan se juda rakkha hai

husn ko jaur se begana na samjho ki use

ye sabaq ishq ne pahle hi padha rakkha hai

teri nisbat se sitamgar tire mayuson ne

dagh-e-hirman ko bhi siine se laga rakkha hai

kahte hain ahl-e-jahan dard-e-mohabbat jis ko

naam usi ka dil-e-muztar ne dava rakkha hai

nigah-e-yar se paikan-e-qaza ka mushtaq

dil-e-majbur nishane pe khula rakkha hai

is ka anjam bhi kuchh soch liya hai ‘hasrat’

tu ne rabt un se jo is darja badha rakkha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hum KHud Bhi Hue Nadim Jab Harf-E-Dua Nikla

Gili miTTi Se Badan Bante Hue Umr Lagi

poet

Dard-E-Dil Moatabar Bhi Hota Hai

Ek Pal Ki dauD Dhup Mein Aisa Thaka Badan

poet

Ahbab Ke Qarib Mohabbat Se baiThiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet