Shad Uftad-E-Har-Nafas Mat Puchh

‘shād’ uftād-e-har-nafas mat pūchh

hazrat-e-qāzī-o-asas mat pūchh

ḳhuun bhī hai rag-e-hamiyyat bhī

kyuuñ nahīñ log Tas se mas mat pūchh

phuul kāñToñ meñ tū ne dekhā hai

mujh se hālāt-e-pesh-o-pas mat pūchh

kyā mirī aarzū se vāqif hai

vo nigāh-e-daqīqa-ras mat pūchh

āshiyān-o-chaman ke dil-dāda

tū kabhī vus.at-e-qafas mat pūchh

chīstāñ hai fareb-e-āzādī

sharh-e-ijmāl ko taras, mat pūchh

qatl kā hukm hī sahī lekin

hai jo us ke gale meñ ras mat pūchh

Leave a Comment