nigah-e-qahr hogi ya mohabbat ki nazar hogi
maza de ja.egi dil se agar ai sim-bar hogi
tumhen jaldi hai kya jaana abhi to raat baaqi hai
na ghabrao zara Thahro koi dam men sahar hogi
abhi se saare aalam men to ik andher barpa hai
na jaane kya ghazab Dha.egi jab ye ta-kamar hogi
na la.egi to kya bechain bhi un ko na kar degi
hamari aah kya kam-baḳht itni be-asar hogi
ham us ko dekh lenge aur vo ham ko na dekhegi
nigah-e-yar kya mahfil men itni be-ḳhabar hogi
chala jaata to huun main bahrup ban kar un ki mahfil men
kahunga kya rasa.i gar kahin munh dekh kar hogi
nigah-e-lutf se dekhega mujh ko ik jahan to kya
agar tum dekh loge meri qismat arsh par hogi
asiri men bhi yad-e-gul karegi is tarah bulbul
qafas ke dar pe sar hoga, su-e-gulshan nazar hogi
jo be-jurmi pe bhi ‘bismil’ ko tum ne kar diya bismil
bataoge bhala kya hashr men pursish agar hogi
Leave a Reply