dastan-e-gham ham ne kah bhi di to kya hoga
aur baḌh ga.i dil ki be-kali to kya hoga
umr-e-rafta ke qisse dosto na doharao
koi yad-e-ḳhvabida jaag uThi to kya hoga
zindagi to apni hai luT ga.i to phir kya gham
gham tiri amanat hai chhin ga.i to kya hoga
dard se sanvari hai ruh-e-zindagi ham ne
dard ko na raas aa.i zindagi to kya hoga
Leave a Reply