minaron par jaise jaise shaam bikharti jaati hai
manzar aur dil donon men virani bharti hai
shahr ke barah darvaze hain jaane kahan se aa.e vo
shahzadi ye soch ke har dar raushan karti jaati hai
masjid ke dalan se le kar ghunghru ki jhankar talak
ek gali ka.i sadiyon se chup-chap guzarti jaati hai
raavi to ab bhi zinda hai lekin us ke siine men
dhaḌkan dhaḌkan bahti ek rivayat marti jaati hai
zard fasilen Dhalta suraj dekh ke aisa lagta hai
qil.e par ab dhire dhire raat utarti jaati hai
Leave a Reply