tum ko chaha tum ko puuja
kya ye mera pagal-pan tha
pal men tola pal men masha
nadan ye duniya hai duniya
tera ho kar jiina chaha
main bhi kitna divana tha
tera rutba arsh se uncha
tujh ko mujh se nisbat hi kya
meri to hasti hi kya thi
lekin tu ne kis ko baḳhsha
tera husn hai aalam aalam
mera ishq hai tanha tanha
o munh pher ke jaane vaale
duniya kya sochegi socha
qatre ki auqat hi kya hai
qatra qatra dariya dariya
kaun uTha teri mahfil se
kis ki umr ka saghar chhalka
apna apna zauq-e-nazar hai
kis ka jalva kaisa parda
teri izzat mahfil mahfil
main sha.ir avara rusva
maana ḳhak-basar huun phir bhi
yaad karoge yaad a.unga
ye jiina bhi kya jiina hai
is jiine se marna achchha
duniya kis ko raas aa.i hai
kis ko raas aa.egi duniya
ham ne sudh-budh kho di ‘asi’
us ne is andaz se dekha
Leave a Reply