aaya hai ek shaḳhs ajab an-ban ka
naqsha badal gaya hai purane makan ka
taare se TuTte hain abhi tak idhar-udhar
baaqi hai kuchh nasha abhi kal ki uḌaan ka
kalak si jam rahi hai chamakti zamin par
suraj se jal uTha hai varaq asman ka
dariya men duur duur talak kashtiyan na thiin
ḳhatra na tha hava ko kisi badban ka
donon ke dil men ḳhauf tha maidan-e-jang men
donon ka ḳhauf fasla tha darmiyan ka
‘alvi’ kivaḌ khol ke dekha to kuchh na tha
vo to qusur tha mire vahm-o-guman ka
Leave a Reply