• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Ada Se Wo Jafa Karte Hain

Is Ada Se Wo Jafa Karte Hain

dagh-dehlvi

is ada se vo jafa karte hain

koi jaane ki vafa karte hain

yuun vafa ahd-e-vafa karte hain

aap kya kahte hain kya karte hain

ham ko chhedoge to pachhtaoge

hansne valon se hansa karte hain

nama-bar tujh ko saliqa hi nahin

kaam baton men bana karte hain

chaliye ashiq ka janaza uttha

aap baithe hue kya karte hain

ye batata nahin koi mujh ko

dil jo aata hai to kya karte hain

husn ka haq nahin rahta baaqi

har ada men vo ada karte hain

tiir akhir badal-e-kafir hai

ham akhir aaj dua karte hain

rote hain ghair ka rona pahron

ye hansi mujh se hansa karte hain

is liye dil ko laga rakkha hai

is men mahbub raha karte hain

tum miloge na vahan bhi ham se

hashr se pahle gila karte hain

jhank kar rauzan-e-dar se mujh ko

kya vo shokhi se haya karte hain

us ne ehsan jata kar ye kaha

aap kis munh se gila karte hain

roz lete hain naya dil dilbar

nahin malum ye kya karte hain

‘dagh’ tu dekh to kya hota hai

jabr par sabr kiya karte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yun to Kam Kam Thi Mohabbat Uski

Tumhaare Ghar Pe Main Aa to Nahin Raha Mere Dost

Saat-E-Zer-O-Zabar Ke Darmiyan Koi to Hai

Is Par Jahan-E-Raftagan Hai

Mujhe Ghubar uData Hua Sawar Laga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet