ḳhauf se ab yuun na apne ghar ka darvaza laga
tez hain kitni hava.en is ka andaza laga
ḳhushk tha mausam magar barsi ghaTa jab yaad ki
dil ka murjhaya hua ghuncha tar-o-taza laga
raushni si kar ga.i qurbat kisi ke jism ki
ruuh men khulta hua mashriq ka darvaza laga
ye andheri raat benam-o-nishan kar ja.egi
apne chehre par sunahri dhuup ka ghaza laga
zehn par jis dam tira ehsas ghalib aa gaya
duur tak bikhra hua lafzon ka shiraza laga
ham-ḳhayal o ham-nava bhi tujh ko mil hi ja.enge
raat ke tanha musafir koi avaza laga
Leave a Reply