ḳhauf ban kar ye ḳhayal aata hai aksar mujh ko
dasht kar ja.ega ik roz samundar mujh ko
main sarapa huun ḳhabar-nama-e-imroz-e-jahan
kal bhula de na ye duniya kahin paḌh kar mujh ko
har nafas mujh men taghayyur ki hava.e larzan
murtasim kar na saka koi bhi manzar mujh ko
apne sahil pe main ḳhud tishna-dahan baiTha huun
dekh dariya ki tara.i se nikal kar mujh ko
mire saa.e men bhi mujh ko nahin rahne dega
mere hi ghar men rakhega koi be-ghar mujh ko
kargar koi bhi tadbir na hone dega
kya muqaddar hai ki le ja.ega dar-dar mujh ko
kaam aa.egi na bedar-nigahi bhi ‘amir’
ḳhvab kah ja.ega ik din mira paikar mujh ko
Leave a Reply