jo muhibba-e-vafa hain vo vafa karte hain
kuchh gharaz is se nahin koi jafa karte hain
ḳhugar-e-dard hain sab kuchh vo saha karte hain
dushmanon se nahin matlab ki vo kya karte hain
ham jigar thaam ke jab ah-e-rasa karte hain
ik qayamat men qayamat hi bapa karte hain
charagar ka ho bhala kaun rahin-e-minnat
ham to ḳhud apni hi zaḳhmon ko siya karte hain
saaz ho aish ka ya sur-e-musibat dam-saz
ab to har haal men ham shukr ada karte hain
aap sharma ga.e kyuun dekh ke raqs-e-bismil
kya kahin tir-e-nazar chal ke ḳhata karte hain
atish-e-ishq-e-vatan rakhte hain dil men raushan
apni hi aag men jal jal ke bujha karte hain
har hubab-e-lab-e-ju jalva-gah-e-hasti hai
naqsh ban ban ke zamane se miTa karte hain
‘shauq’ sa banda-e-azad zamane men kahan
aaj sunte hain ki vo yad-e-ḳhuda karte hain
Leave a Reply