ham sa divana kahan mil pa.ega is dahr men
ghar kiya ta.amir jis ne dimakon ke shahr men
ḳhud-kushi karne men bhi nakam rah jaate hain ham
kaun amrit ghol deta hai hamare zahr men
kis ko hai marne ki fursat sab yahan masruf hain
maut tu bekar men aa.i hai aise shahr men
TuuTi kashti ki tarah hain vaqt ke sahil pe ham
kya zamana tha baha karte the apni lahr men
ek virani si anjum rah ga.i a.ankhon men ab
ḳhvab saare bah ga.e hain ansuon ki nahr men
Leave a Reply