aave ḳhizan chaman ki taraf gar main ru karun
ghuncha kare gulon ko saba gar main bu karun
azurda is chaman men huun manind-e-barg-e-ḳhushk
chheḌe jo Tuk nasim mujhe sau ghulu karun
ankhon se jaa.e ashk girin gul chaman chaman
manzur girya gar main tira rang-o-bu karun
aaya huun para-dozi-e-dil se nipaT ba-tang
aise phaTe hue ko main kab tak rafu karun
kya aarzu ki ḳhaak men apni milen na yaan
kis ru se ab falak se main kuchh aarzu karun
kahta hai aa.ina ki hai tujh sa hi ek aur
bavar nahin to la main tire ru-ba-ru karun
saare hi is chaman se hava-ḳhvah uTh ga.e
ro.uun gulon ko ya main gham-e-rang-o-bu karun
‘qa.em’ ye ji men hai ki taqayyud se shaiḳh ki
ab ke jo main namaz karun be-vazu karun
Leave a Reply