men ashiq huun mujhe maqtal men apna naam karna hai
darega khanjar-e-qatil se kya vo jis ko marna hai
madad kar ishq-e-sadiq jazb-e-kamil mujh se mahzun ki
shab-e-gham naala karna hai aur is ji se guzarna hai
na phenko sang-e-khara par hifazat chahiye is ki
ki rakh kar mirat-e-dil ru-ba-ru tum ko sanvarna hai
ye jam-e-dida-e-hasrat bharunga ashk-e-khuni se
mai-e-gulgun tujhe pir-e-mughan saghar men bharna hai
thahar ja bulbul-e-ghamgin kahan tak zari-o-shevan
ki murgh-e-bostan-e-ishq ko bhi naala karna hai
sarishk-e-chashm-e-pur-nam ki ravani se pareshan huun
junun kya dida-e-hasrat hamara koi jharna hai
‘jamila’ safha-e-mahtab par lahra gae kaale
sitam in gesuon ka dosh par un ke bikharna hai
Leave a Reply