basirat se abhi mahrum hain sab
manazir shahr ke ma.asum hain sab
koi milta nahin hans kar kisi se
na jaane kis liye maghmum hain sab
girah kholo na apni gumrahi ki
hamen ye raste malum hain sab
kahan tak vus.aten Tankun zamin par
nishan-e-arzu madum hain sab
jinhen raushan dhundalke kah rahe ho
hamare ahd ka maqsum hain sab
main kis ko aa.ina samjhun yaqin ka
nuqush-e-agahi mauhum hain sab
ye tum batlao zalim kaun Thahre
sar-e-bazm-e-talab mazlum hain sab
kise ‘parvaz’ ḳhud se duur samjhun
mire idrak ka mafhum hain sab
Leave a Reply