bas ruuh sach hai baaqi kahani fareb hai
jo kuchh bhi hai zamini zamani fareb hai
rang apne apne vaqt pe khulte hain aankh par
avval fareb hai koi saani fareb hai
saudagaran-e-sho.alagi-e-shar ke dosh par
mushkiz-gan se jhankta paani fareb hai
is ghumti zamin pe dobara milenge ham
hijrat farar naql-e-makani fareb hai
dariya ki asl tairti lashon se pochhiye
Thahrav ek chaal ravani fareb hai
ab shaam ho ga.i hai to suraj ko roiye
ham ne kaha na tha ki javani fareb hai
bar-e-digar samay se kisi ka guzar nahin
a.indagan ke haq men nishani fareb hai
ilm ik hijab aur havas aa.ine ka zang
nisyan haq hai yad-dahani fareb hai
tajsim kar ki ḳhvab ki duniya hai javedan
taslim kar ki alam-e-fani fareb hai
‘shahid’ darogh-goi-e-gulzar par na ja
titli se puchh rang-fishani fareb hai
Leave a Reply