• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Haalat-E-Haal Main Kya Ro Ke Sunaun Tujhko

Haalat-E-Haal Main Kya Ro Ke Sunaun Tujhko

halat-e-hal main kya ro ke suna.un tujh ko

tu nazar aa.e to palkon pe biTha.un tujh ko

ḳhud ko is hosh men mad.hosh banane ke liye

ayat-e-husn paḌhun dekhta ja.un tujh ko

tu nahin manta miTTi ka dhuan ho jaana

to abhi raqs karun ho ke dikha.un tujh ko

kar liya ek mohabbat pe guzara main ne

chahta tha ki main puura bhi to aa.uun tujh ko

ab mira ishq dhamalon se kahin aage hai

ab zaruri hai ki main vajd men la.un tujh ko

kyuun kisi aur ki ankhon ka qasida likkhun

kyuun kisi aur ki mid.hat se jala.un tujh ko

ain mumkin hai tire ishq men zam ho ja.un

aur phir dhyan ki jannat men na la.un tujh ko

us ne ik baar mujhe pyaar se bola tha ‘sa.id’

mera dil hai kabhi siine se laga.un tujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Humne maiKHane Ki Taqdis Bacha Li Hoti

poet

Raat Se Din Ka Wo Jo Rishta Thi

Sar Par Thi kaDi Dhup Bas Itna Hi Nahin Tha

Safar Mein Koi rukawaT Nahin Gada Ke Liye

KHak Sahraon Ki Palkon Pe Saja Li Humne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet