jab ke rusva hue inkar hai sach baat men kya
ai sanam lutf hai parde ki mulaqat men kya
koi andha hi tujhe maah kahe ai khurshid
farq hota nahin insan se din raat men kya
yaar ne vada-e-farda-e-qayamat to kiya
shak hai ai nala-e-dil teri karamat men kya
koi but-khane ko jaata hai koi kaaba ko
phir rahe gabr-o-musalman hain tiri ghaat men kya
ek muddat se huun saail tire darvaze par
bosa ya gaali milega mujhe khairat men kya
aisi unchi bhi to divar nahin ghar ki tire
raat andheri koi avegi na barsat men kya
do ghadi ki jo mulaqat thi vo bhi mauquf
aisa padta tha khalal yaar ki auqat men kya
padh ke khat aur bhi mayus hue vasl se ham
yaar ne bheja safar se hamen saughat men kya
atish-e-mast jo mil jaae to puchhun us se
tu ne kaifiyyat uthai hai kharabat men kya
Leave a Reply