miri ragon men jo ik iztirab hai kya hai
lahu hai raushni hai inqalab hai kya hai
yahi sila hai tiri mehnaton ka mehnat-kash
tiri jabin pe jo ye aftab hai kya hai
ḳhirad ulajhti rahi aur khula na raz-e-hayat
azaab hai ki ye ne.amat hai ḳhvab hai kya hai
ḳhulus lafzon men kyon hai dilon men kyon hai fareb
kisi ke paas kuchh is ka javab hai kya hai
nahin sharar to hai phir kaun mojid-e-atish
kaho ‘sharar’ ka koi sadd-e-bab hai kya hai
Leave a Reply