pila saqiya mai-khunuk aab men
ki thamti nahin tauba mahtab men
gaya diin kaisa huzur-e-namaz
vo yaad aae abru jo mehrab men
mile kuchh to zakhm-e-jigar ka maza
bujha kar rakha tegh zahrab men
ilahi falak jis se phat jaae de
vo tasir ah-e-jigar-tab men
buland ashiyanon pe bijli giri
jo niche the duube vo sailab men
vo uryan men sarma men thi jin ki shab
guzarti samor aur sanjab men
na aae hon azurda lena khabar
padi dhuum ye saare punjab men
Leave a Reply