khinch kar le ja.ega anjan mahvar ki taraf
hai badan ka rasta bahar se andar ki taraf
vo bhi apne saans ke sailab men hai lapata
jo mujhe phaila gaya mere hi manzar ki taraf
ab ḳhalaon ko sameTe har taraf hon gamzan
aaj hai mera safar apne hi paikar ki taraf
koi to paani ki virani ko samjhega kabhi
dekhta rahta huun ab main bhi samundar ki taraf
zehn ki qabron men phir se suur gunja hai ‘riyaz’
tangi-e-iz.har chal ik aur mahshar ki taraf
Leave a Reply