meri aahon se jila chahta hai
asman radd-e-bala chahta hai
mujh ko to marzi-e-maula aula
aur dil sab ka bhala chahta hai
burrish-e-tegh na maili ho jaae
ba-safa huun vo gila chahta hai
aaina ho gaya aina-sarisht
yaani vo mujh men dhala chahta hai
mauj-dar-mauj gulistan saara
mere daman pe khula chahta hai
boriye ko kaha saman-e-nashat
dekhte rahna jila chahta hai
mujh ko darvesh samajhne vaala
khush-gumani ka sila chahta hai
zanu-e-shauq se lag baitha hai
aina apni jila chahta hai
nahin pur-shauq koi is ke liye
‘hasanat’ ab to khala chahta hai
Leave a Reply