vufur-e-shauq men jab bhi kalam karte hain
to harf harf ko husn-e-tamam karte hain
ghane daraḳhton ke saa.e ki umr lambi ho
ki in ke niche musafir qayam karte hain
use pasand nahin ḳhvab ka havala bhi
to ham bhi aankh pe ninden haram karte hain
na ḳhushbuon ko pata hai na rang jante hain
parind phulon se kaise kalam karte hain
ravan-davan hain hava par svariyan kaisi
jinhen daraḳht bhi jhuk kar salam karte hain
chaman men jab se use sair karte dekh liya
usi ada se ghazalan ḳhiram karte hain
ab is ko yaad na hoga hamara chehra bhi
tamam sha.eri ham jis ke naam karte hain
Leave a Reply