• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Ki Pand-O-Nasihat Ka Qaht paD Gaya Hai

Nahin Ki Pand-O-Nasihat Ka Qaht paD Gaya Hai

nahin ki pand-o-nasihat ka qaht paḌ gaya hai

hamari baat men barakat ka qaht paḌ gaya hai

to phir ye radd-e-munajat ki nahusat kyuun

kabhi suna ki ibadat ka qaht paḌ gaya hai?

malal ye hai ki is par koi malul nahin

hamare shahr men hairat ka qaht paḌ gaya hai

suḳhan ka khokhla hona samajh se bahar tha

khula ki harf ki hurmat ka qaht paḌ gaya hai

kahin kahin nazar aa.e to aa.e misra-e-tar

nahin to sher men lazzat ka qaht paḌ gaya hai

nasib dil ko bhala kab rahi faravani

aur ab to vaise bhi muddat ka qaht paḌ gaya hai

magar ab aisi bhi koi andher-nagri nahin

ye Thiik hai ki mohabbat ka qaht paḌ gaya hai

nahin main sirf ba-zahir nahin hua viran

darun-e-zat bhi shiddat ka qaht paḌ gaya hai

kahan ga.iin mire gaanv ki raunaqen ‘javvad’

to kya yahan bhi rivayat ka qaht paḌ gaya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pyase honTon Se Jab Koi Jhil Na Boli Babu-Ji

parveen-fana-syed

Kahan Ja Rahi Ho?

Tu Hai Ki Chistan Ki Ibarat Hai Tah-Ba-Tah

Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz

poet

Aql-O-dil Ko Mila-Jula Rakhiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet