mire bas men ya to ya-rab vo sitam-shiar hota
ye na tha to kaash dil par mujhe ikhtiyar hota
pas-e-marg kaash yuun hi mujhe vasl-e-yar hota
vo sar-e-mazar hota main tah-e-mazar hota
tira mai-kada salamat tire khum ki khair saaqi
mira nashsha kyuun utarta mujhe kyuun khumar hota
main huun na-murad aisa ki bilak ke yaas roti
kahin pa ke aasra kuchh jo umid-var hota
nahin puchhta hai mujh ko koi phuul is chaman men
dil-e-dagh-dar hota to gale ka haar hota
vo maza diya tadap ne ki ye aarzu hai ya-rab
mire donon pahluon men dil-e-be-qarar hota
dam-e-naza bhi jo vo but mujhe aa ke munh dikhata
to khuda ke munh se itna na main sharmsar hota
na malak saval karte na lahad fishar deti
sar-e-rah-e-ku-e-qatil jo mira mazar hota
jo nigah ki thi zalim to phir aankh kyuun churai
vahi tiir kyuun na maara jo jigar ke paar hota
main zaban se tum ko sachcha kaho laakh baar kah duun
ise kya karun ki dil ko nahin e’tibar hota
miri khaak bhi lahad men na rahi ‘amir’ baaqi
unhen marne hi ka ab tak nahin e’tibar hota
Leave a Reply