Tera Gham Teri Aarzu Kab Tak

terā ġham terī aarzū kab tak

mujh se rūThā rahegā tū kab tak

be-zarūrat ye hāo-hū kab tak

vo nahīñ hai to justujū kab tak

tā-ba-kai ḳhvāhishoñ kī sho.ala-zanī

ye havas kī shadīd lū kab tak

kuchh ravānī kī intihā to ho

ya.anī arzāñ rahe lahū kab tak

mausam-e-roz-o-shab tamām bhī ho

ye tilismāt-e-rañg-o-bū kab tak

phuul bātoñ ke kuchh laboñ pe khilā

āñkhoñ āñkhoñ meñ guftugū kab tak

Leave a Comment