tujh jaisa ik anchal chahun apne jaisa daman DhunDun
maile maile sho.ala dekhun paani angan angan DhunDun
ye komal dharti kya mere bhari dukh ka bojh sahegi
udhar idhar lakhon duniya.en kyuun na koi aur angan DhunDun
aisa bhi kya pyaar ki jis se kul duniya piili paḌ jaa.e
kesar anchal anchal dekhun haldi daman daman DhunDun
isi aam ki kokh se ik din mera bhola-pan upja tha
isi aam ki jaḌen khod kar ik din apna bachpan DhunDun
tum se kya tum bhes badal kar baiTh raho hansmukh chehron men
main ankhon men aansu bhar kar sahra sahra ban ban DhunDun
yaaro mere pagal-pan ka sach-much koi ilaaj nahin hai
niim niim par koyal chahun kikar kikar jaman DhunDun
maan liya dil bas men nahin hai phir bhi jiina to hoga hi
ya ab apna tan bisra duun ya phir aur koi tan DhunDun
Leave a Reply