misl-e-raqs-e-sharar nahin aati
zindagi lauT kar nahin aati
dil-dahi ka to koi saman kar
dilruba.i agar nahin aati
hijr men maut DhunDhne vaale
aisi shab ki sahar nahin aati
dil ko de kar fareb-e-shauq-o-talab
ab tamanna nazar nahin aati
ye tabi.at hai hazrat-e-naseh
ye samajh soch kar nahin aati
alam-e-be-dili se bhi yarab
dil ki koi ḳhabar nahin aati
dard dil men agar na ho ham-dam
sha.iri umr-bhar nahin aati
aadmi Thokaren na khaa.e agar
zindagi raah par nahin aati
raas aati nahin agar tadbir
maut kyuun charagar nahin aati
apni halat agar main ḳhud na kahun
kya unhen bhi nazar nahin aati
tum ko aate hain sab jafa-o-jaur
ik vafa hi magar nahin aati
jis nazar se vo dekhte the kabhi
vo nazar ab nazar nahin aati
vaa.e us zindagi ki mahrumi
maut bhi umr-bhar nahin aati
aah vo arzu-e-dil ‘sahir’
ta-qayamat jo bar nahin aati
Leave a Reply