asar itna to ho ya-rab hamare jazba-e-dil ka
baghair-e-iltija parda ulaT de koi mahmil ka
jo tum chaho badal jaa.e abhi naqsha mire dil ka
tumhen mushkil nahin asan karna meri mushkil ka
ḳhuda jaane ye kis ka ḳhun-e-nahaq rang laaya hai
har aansu surḳh hai jo bah raha hai sham-e-mahfil ka
mujhi se kya hai mere ansuon ke muntazir kya ho
zara tum hi palaT do muskura kar rang mahfil ka
samajh baiThe sukun-e-arzi ko mustaqil rahat
na kyon matam karun main ishrat-e-yaran-e-sahil ka
koi dozaḳh bana.enge ki vo jannat bana.enge
ḳhuda jaane karenge kya miri ḳhakistar-e-dil ka
‘shifa’ ye kasr-e-shan-e-zauq tauhin-e-nazara hai
ki un ko dekh kar kya dekhna phir mah-e-kamil ka
Leave a Reply