ab agar aur chup rahunga main
phir ye tai he ki phaT paḌunga main
ek aisa bhi vaqt aa.ega
tum sunoge faqat kahunga main
naaz uTha.unga naaz uThane tak
tere aage nahin bichh.unga main
dekhna teri rahbari ke baghair
apni manzil talash lunga main
tum ko jaana hai shauq se jaao
ab ḳhushamad nahin karunga main
jab kabhi tujh se samna hoga
ajnabi ki tarah milunga main
kya sabab hai miri ḳhamoshi ka
shor thamne do phir kahunga main
aa.ina rakh ke samne ‘nayab’
pagalon ki tarah hansunga main
Leave a Reply