hui hai shaam to ankhon men bas gaya phir tu
kahan gaya hai mire shahr ke musafir tu
miri misal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahra huun
tira khayal ki shakh-e-chaman ka taair tu
main janta huun ki duniya tujhe badal degi
main manta huun ki aisa nahin ba-zahir tu
hansi-khushi se bichhad ja agar bichhadna hai
ye har maqam pe kya sochta hai akhir tu
faza udaas hai rut muzmahil hai main chup huun
jo ho sake to chala aa kisi ki khatir tu
‘faraz’ tu ne use mushkilon men daal diya
zamana sahab-e-zar aur sirf shaer tu
Leave a Reply