jo qissa-go ne sunaya vahi suna gaya hai
agar tha is se siva to nahin kaha gaya hai
musafirat ka hunar hai na vapsi ki ḳhabar
so chal raha huun jidhar bhi ye rasta gaya hai
amaan ko niil mayassar na main koi muusa
mujhe supurd-e-fara.in kar diya gaya hai
sabab nahin tha zamin par utarne ka mujhe
sabab baghair hi vapas uTha liya gaya hai
ye muntaha hai miri na-rasa.i ka shayad
jo duur hadd-e-nazar se pare ḳhala gaya hai
mahak uThe hain mire baagh ke ḳhas-o-ḳhashak
koi Tahalta hua surat-e-saba gaya hai
Leave a Reply