
Poet
abr men yad-e-yar aave hai
girya be-iḳhtiyar aave hai
baagh se gul-izar aave hai
bu-e-gul par savar aave hai
ai ḳhizan bhaag ja chaman se shitab
varna fauj-e-bahar aave hai
ai saba kis taraf ko guzri thi
tujh se bu-e-nigar aave hai
mujh hava-ḳhvah se gurez so kyuun
tujh ko kya mujh se aar aave hai
sun ke kahne lage kisi ke koi
kaahe ko baar baar aave hai
is qadar bas-ki roz milne se
ḳhatiron men ghubar aave hai
main to kya ‘hatim’ aise bad-ḳhu se
kis ko sohbat barar aave hai

Leave a Reply