nannhi se ye bolin naani
meri pyari gudiya raani
aa ja meri god men aa ja
sun le mujh se ek kahani
ye jo apni gol zamin hai
pahle pahal thi paani paani
sab duniya thi ek samundar
jis ki lahren thiin tufani
rafta rafta ubhri khushki
haule haule utra paani
ped pahad chattanen sahra
jangal ka jangal haivani
saari chizen ho gaiin paida
tab aai vo sub.h suhani
jab allah ne hukm se apne
dikhlane ko apni nishani
duniya men insan ko bheja
khuub badhi nasl-e-insani
tum ko sun kar hairat hogi
meri pyari gudiya raani
hisse chaar zamin ke hon to
ek hai khushki tiin hai paani
lekin isti.mal ke qabil
ziyada paani nahin hai jaani
thoda thoda kharch karen ham
shurua na kar den nahr bahani
Leave a Reply