• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Ai Dil Ye Tarz Nahin Kuchh Ishq Ke Ohde-Daron Ki

Dil Ai Dil Ye Tarz Nahin Kuchh Ishq Ke Ohde-Daron Ki

poet

dil ai dil ye tarz nahin kuchh ishq ke ohde-daron ki

sunte ho majburon ki aur kahte ho muḳhtaron ki

phir maujon se chiḳh si uTThi mujh ko to ye dhoka hai

ga.i raat bhi patvaron se ḳhuub nibhi manjdharon ki

yaad dila di hai suraj ke as-pas ik badli ne

kaali qamison ke saa.e men dhuup saped ghararon ki

pipal ke patton ke saa.e kab tak tumhen sarahenge

ek na ik din qismat jaag uThegi rah-guzaron ki

ai gul-e-daman-e-rashk-e-gulistan ham se hamara haal na puchh

sehn-e-chaman ke viranon men surat dekh baharon ki

ik bujhti lakḌi se ik sho.ala lahraya hai jis vaqt

ḳhana-ba-doshon ke ḳheme men baat chhiḌi maTiyaron ki

tere hijr men jaam na khanken patta na khaḌke aah na ho

kis dariya men Duub maren avazen chauki-daron ki

us be-ruḳh ne bedardi se raton raton rulvaya

dard ka had se baḌh jaana Thahri jo dava bimaron ki

aao ik do pal susta len maazi ki divar tale

sej bhi hai nauras kaliyon ki barkha bhi angaron ki

aise kahan nasib hamare bayan ang phaḌak uTThe

kaun ḳhabar hai dukhiya jaag men ham paapi dukhiyaron ki

ham ko kisi se gila nahin hai jaan ga.e pahchan ga.e

viran dilon ke virane hain duniya duniya-daron ki

ek zamana guzra ham bhi tere shahr ke baasi the

aaj bhi ankhon men phirti hai surat tere dayaron ki

go qadmon se juda hue vo rah-guzaren der hui

lekin dil par jam si ga.i hai dhuul in rah-guzaron ki

ḳhair un dinon to chak-garebanon ki izzat hoti thi

aaj to ḳhair se tere shahr men izzat hai dastaron ki

‘ashk’ mire ash.ar ke atish-paron se dhire dhire

basti basti phail rahi hai aanch in ke ruḳhsaron ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shab Ke KHilaf Barsar-E-Paikar Kab Hue

puja-bhatia

Jaan Ye Intizar Kaisa Hai

poet

Ishq Ki Aag Mein Ab Shama Sa Jal Jaunga

poet

Kaleja Munh Ko Aaya Aur Nafas Karne Laga Tangi

poet

Falak Ke Hathon Jidhar Munh Uthae Jata Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet