javani ki andheri raat hai zulmat ka tufan hai
miri rahon se nur-e-mah-o-anjum tak gurezan hai
khuda soya hua hai ahrman mahshar-ba-daman hai
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
gham o hirman ki yurish hai masaib ki ghataen hain
junun ki fitna-khezi husn ki khunin adaen hain
badi pur-zor andhi hai badi kafir balaen hain
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
faza men maut ke tarik saae thartharate hain
hava ke sard jhonke qalb par khanjar chalate hain
guzishta ishraton ke khvab aina dikhate hain
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
zamin chin-bar-jabin hai asman takhrib par maail
rafiqan-e-safar men koi bismil hai koi ghael
taaqub men lutere hain chatanen raah men haael
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
ufuq par zindagi ke lashkar-e-zulmat ka dera hai
havadis ke qayamat-khez tufanon ne ghera hai
jahan tak dekh sakta huun andhera hi andhera hai
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
charagh-e-dair fanus-e-haram qindil-e-rahbani
ye sab hain muddaton se be-niyaz-e-nur-e-irfani
na naqus-e-barhaman hai na ahang-e-huda-khvani
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
talatum-khez dariya aag ke maidan haael hain
garajti andhiyan biphre hue tufan haael hain
tabahi ke farishte jabr ke shaitan haael hain
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
faza men shoala-afshan dev-e-istibdad ka khanjar
siyasat ki sananen ahl-e-zar ke khun-chakan tevar
fareb-e-be-khudi dete hue billor ke saghar
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
badi par barish-e-lutf-o-karam neki pe taaziren
javani ke hasin khvabon ki haibatnak taabiren
nukili tez sanginen hain khun-asham shamshiren
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
hukumat ke mazahir jang ke pur-haul naqshe hain
kudalon ke muqabil top banduqen hain neze hain
salasil taziyane bediyan phansi ke takhte hain
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
ufuq par jang ka khunin sitara jagmagata hai
har ik jhonka hava ka maut ka paigham laata hai
ghata ki ghan-garaj se qalb-e-giti kaanp jaata hai
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
fana ke ahani vahshat-asar qadmon ki aahat hai
dhuven ki badliyan hain goliyon ki sansanahat hai
ajal ke qahqahe hain zalzalon ki gadgadahat hai
magar main apni manzil ki taraf badhta hi jaata huun
Leave a Reply