myaan se tera agar ḳhanjar nikal kar rah gaya
mere bhi dil men baḌa arman sitamgar rah gaya
kya faqat kuche men tere mera bistar rah gaya
balki mujh se chhuT kar dil hi kahin par rah gaya
mai-kashon ke daur men baiThe the ham bhi ba-nasib
ab to ḳhali haath men saaqi ke saghar rah gaya
mere kis arman ne mere qatl se roka tujhe
jo kamar se tere yuun ḳhanjar nikal kar rah gaya
dar tak us ke main pahunch ja.unga ye kahta hua
tere kuche men mira bhule se bistar rah gaya
maut aa.i hai mujhe lene ko ye kah de koi
rahne vaala mar gaya ujḌa hua ghar rah gaya
va.e-nakami ki uḌne bhi na paaya tha abhi
bandhte hi naama bazu-e-kabutar rah gaya
dil ki mayusi na puchho jab vo pahlu se uThe
kar hi kya sakta tha taḌpa aur taḌap kar rah gaya
sab ko lauh-e-qabr mera bhi yuun hi degi nishan
aa.ine se jis tarah nam-e-sikandar rah gaya
ishq us ke gesuon ka kya hua ‘alim’ mujhe
saare aalam ka jo sauda tha mire sar rah gaya
Leave a Reply