tera vo karam teri jafa yaad hai ab tak
sab kuchh mujhe ai jan-e-haya yaad hai ab tak
aaya tha zaban par miri kyon harf-e-tamanna
kyon ho gaya tha koi ḳhafa yaad hai ab tak
shanon pe mire vasl ki shab ḳhaas ada se
rahti thi tiri zulf-e-rasa yaad hai ab tak
kahne pe mire aao mire paas to baiTho
vo un ke bigaḌne ki ada yaad hai ab tak
aa jaao agar tum to tumhin se kabhi puchhun
kya bhuul gaya huun mujhe kya yaad hai ab tak
barsi thi jo paimana uThate hi hamare
kya tum ko bhi vo mast ghaTa yaad hai ab tak
rahta tha mire haath men jo dast-e-hina.i
us haath ki ḳhushbu-e-hina yaad hai ab tak
muddat hui us ko ki miri ḳhalvat-e-shab men
paigham jo laa.i thi saba yaad hai ab tak
ta.id men jis ke the dhaḌakte hue do dil
kya tum ko vo paiman-e-vafa yaad hai ab tak
tha ‘soz’ sar-e-mai-kada jab koi ham-aghosh
vo sohbat-e-rangin ba-ḳhuda yaad hai ab tak
Leave a Reply