‘anjum’ tumhen ulfat abhi karna nahin aata
har ek pe marte ho pa marna nahin aata
aalam ke hasin bharte hain ankhon men tumhari
dam ishq ka bharte ho pa bharna nahin aata
ham jaan hi se apni guzar jaaen to behtar
hat-darmi se un ko jo guzarna nahin aata
lo nam-e-khuda ham se banate hain vo baten
jin ko ki abhi baat bhi karna nahin aata
kahte ho miri laash pe maara hai ye kis ka
kyuun ji yahi kahte the mukarna nahin aata
bikhre hue balon men bhi hain laakh adaen
alhad ko abhi mere sanvarna nahin aata
kya vasl ki shab kaati hai fiqre hi bata kar
sach hai ki tumhen baat katarna nahin aata
aisa tu hamen piis ki hon ankhon ka surma
ai charkh tujhe jaur bhi karna nahin aata
haq ye hai ki anjum tira dil thahre to kyun-kar
siine pe unhen haath bhi dharna nahin aata
Leave a Reply