nahin malum kitne ho chuke hain imtihan ab tak
magar tere vafadaron ki himmat hai javan ab tak
ye tufan-e-havadis aur talatum baad o baran ke
mohabbat ke sahare kashti-e-dil hai ravan ab tak
kahan chhoḌa hai dil ko karvan-e-ah-o-nala ne
ki hai avara manzil yusuf-e-be-karvan ab tak
talash-e-bahr men qatre ne kitni Thokaren kha.in
samajh leta jo ḳhud ko ban hi jaata be-karan ab tak
dil-e-bimar ko hamdam hava-e-sair-e-gul kya ho
ki hai na-mo’tadil ab-o-hava-e-gulsitan ab tak
azal se gosh-e-dil men gunjte hain zamzame tere
magar ai dost main ne tujh ko paaya be-nishan ab tak
ayaan afsurdagi-e-gul se hai anjam gulshan ka
magar ḳhun-e-dil-e-bulbul hai sarf-e-ashiyan ab tak
Leave a Reply