• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Chaha Iqrar Kiya Hai Jab Chaha Inkar Kiya

Jab Chaha Iqrar Kiya Hai Jab Chaha Inkar Kiya

jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya

dekho ham ne ḳhud hi se ye kaisa anokha pyaar kiya

aisa anokha aisa tikha jis ko koi sah na sake

ham samjhe patti pati ko ham ne hi sarshar kiya

ruup anokhe mere hain aur ruup ye tu ne dekhe hain

main ne chaha kar bhi dikhaya jangal ko gulzar kiya

dard to hota hi rahta hai dard ke din hi pyare hain

jaise tez chhuri ko ham ne rah rah kar phir dhaar kiya

kaale chehre kaali ḳhushbu sab ko ham ne dekha hai

apni ankhon se un sab ko sharminda har baar kiya

rote dil hanste chehron ko koi bhi na dekh saka

aansu pi lene ka va.ada haan sab ne har baar kiya

kahne jaisi baat nahin hai baat to bilkul saada hai

dil hi par qurban hue aur dil hi ko bimar kiya

shishe TuuTe ya dil TuuTe ḳhushk labon par maut liye

jo koi bhi kar na saka vo ham ne aḳhir-e-kar kiya

‘naz’ tere zaḳhmi hathon ne jo bhi kiya achchha hi kiya

tu ne sab ki maang saja.i har ik ka singar kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

allama-iqbal

Meri Nawa Se Hue Zinda Aarif O Aami

poet

Chah Kar Hum Us Pari-Ru Ko Jo diwane Hue

Shahr-E-Fasl-E-Gul Se Chal Kar Pattharon Ke Darmiyan

poet

Kanton Jaisi Tabiren Thi Phulon Jaise Khwab

Yaqin Se phuTti Hai Ya Guman Se Aati Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet