haris-e-shab kabhi asuda-e-sahar na hua
ye karobar-e-havas hai jo muḳhtasar na hua
kisi se ho na saka ḳhud-gazidgi ka ilaaj
ye zahr vo hai ki tiryak ka asar na hua
sabhon ko bhuul gaya karobar-e-hasti men
main apne aap se ik pal bhi be-ḳhabar na hua
jo aaj tak mire lams-e-qalam se hai mahrum
vo harf harf to hai harf-e-mo’tabar na hua
ajiib baat hai patthar pe rah gaya mahfuz
vo naqsh-e-pa jo kabhi naqsh-e-rahguzar na hua
thakan se chuur the rukte to phir qayamat thi
bhala hua jo kahin saya-e-shajar na hua
vo aadmi jo maqam-e-bashar samajh na saka
tamam umr farishta raha bashar na hua
ḳhuda-parasti nahin hai to ḳhud-parasti sahi
magar jabin ko miri zauq-e-sang-e-dar na hua
use ḳhayal tha tashkil-e-jada-e-nau ka
kisi ke saath vo amada-e-safar na hua
Leave a Reply