ba-lab chuse hue kyuun kar nahin hain
ki hain gul-barg lekin tar nahin hain
nasib-e-dushmanan haan kuchh to guzre
ki rukhsare tire anvar nahin hain
mubarakbad azadi hamen kya
yahan muddat se bal-o-par nahin hain
na puchho shama se taklif-e-hasti
ki shab-bhar men hazaron sar nahin hain
Leave a Reply