gaya shabab na paigham-e-vasl-e-yar aaya
jala do kaat ke is nakhl men na baar aaya
qadam adam men ye kah kar rakhunga ai qatil
hazar shukr ki main bar-e-sar utaar aaya
misal-e-mehr vo qatil shua-e-ariz se
hazar tegh-e-qaza khinche ek baar aaya
azaan di kaabe men naqus dair men phunka
kahan kahan tujhe ashiq tira pukar aaya
tiri talash men ai maah misl-e-reg-e-ravan
na meri khaak ko baad az fana qarar aaya
phansa jo zulf men chhuta vo qaid-e-hasti se
riha hua jo tire daam men shikar aaya
hamesha dekh ke majnun ko khalq kahti thi
adam se ‘barq’ ki aamad hai pesh-kar aaya
Leave a Reply