• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Aisa Azm-E-rasiKH Ab Hamare Dil Mein Hai

Ek Aisa Azm-E-rasiKH Ab Hamare Dil Mein Hai

ek aisa azm-e-rasiḳh ab hamare dil men hai

gardish-e-ayyam bhi ḳhud in dinon mushkil men hai

apni ulfat par bahut kuchh tabsire hote rahe

azma.ish meri ḳhamoshi ki har mahfil men hai

rahrav-e-manzil na samjha aaj tak ye falsafa

karvan-e-zindagi ka har qadam manzil men hai

is ḳhushi ka ho bura majbur kitna kar diya

soch kar hi rah ga.e ham kaisi ḳhvahish dil men hai

teri meri kahne vaale soch lena ek baar

jhuuT khulne par tiri izzat kisi mahfil men hai

sa.eban to hai nahin koi bhi rah-e-ishq men

soch kar rah rah ke ye ahl-e-ḳhirad mushkil men hai

ham se ‘raje’ dushmanon ka bhi bura hota nahin

dosti ka paas itna to hamare dil men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kuchh Nahin Likkha Hua Phir Bhi paDha Jata Hai Kya

Na Sharh-E-Shauq Na Taskin Jaan-E-Zar Mein Hai

Wo KHun Baha Ki Shahr Ka Sadqa Utar Gaya

KHwab Bikhrenge to Hum Ko Bhi Bikharna Hoga

Dil Wo Kisht-E-Arzu Tha Jis Ki Paimaish Na Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet